So kar uthne ki dua in Hindi, Roman Urdu, English | सो कर उठने की दुआ

Hamein apne din ki shuruat Allah ko yaad karke aur Uska shukriya adaa karte hue karni chahiye. Jab ham sote hain to bilkul bekhabar hote hain jaise ke hamein maut aa gai ho. Aur kuch log to raat ko sone ke baad subah uth hi nahi paate, unka sote waqt hi inteqal ho jata hai.

Isliye jab bhi ham subah sokar uthein to hamein Allah ka shukar adaa karna chahiye ke Usne hamein maut ke baad (sone ke baad) dobarah zindagi di. Aur bil akhir hamein ek din laut kar Allah ke paas hi jana hai.

So ke uthne ki dua

Sokar uthne ki dua image, so kar uthne ki dua in hindi urdu roman english, subah uthne ki dua tarjuma

So kar uthne ki dua in Hindi

Subah uthne ki dua in hindi
अल्हम्दुलिल्लाहिल्लज़ी अहयाना बअदा मा अमातना व इलाइहिन नुशूर
तमाम तारीफें अल्लाह के ही लिए है जिसने हमें मौत के बाद (सोने के बाद) ज़िन्दगी दी और हमें उसी की तरफ लौटना है

So kar uthne ki dua in Roman English

Subah uthne ki dua in Roman Urdu
Alhamdulillahillazi ahyana ba’da ma amatana wa ilaihin nushoor.

Subah uthne ki dua tarjuma

Tamam tarifein Allah ke hi liye hai jisne hamein maut ke baad (sone ke baad) zindagi di aur hamein Usi ki taraf lautna hai

Dua for waking up from sleep

All Praise onto Allah (Almighty) Who granted us life after death (Sleep) and we are return to him.

Sone ki dua

Agar aap ko raat ko sote waqt ki dua padhna hai to neeche di gai link par click karein

sone ki dua

Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons zariye aur sadqae jariya hasil karein.

5/5 - (2 votes)
Sadqae Jariya:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *