Pani peene ki sunnat, peene ki sunnatein

Pani peene ki sunnatein | Pani peene ke adaab

Pani bhi Allah ta’ala ki taraf se bahot badi nemat hai. Pani ke bagair insaan, aur deegar makhlooq, koi zinda nahi rah sakta. Hamein pani peete waqt Allah ka naam lekar peena chahiye aur Uska shukr adaa karna chahiye.

Hamare nabi Muhammad ﷺ ne hamein jo pani peene ke adaab sikhaein hai usi tarah hamein pani peena chahiye. Is post me ham aapko pani peene ka sunnat tarika bataenge.

Pani peene ki sunnat, peene ki sunnatein, pani peene ke adaab

Pani peene ki sunnat / Pani peene ke adaab

  1. Daein hath (right hand) se peena.
  2. Baith kar peena.
  3. Dekh kar peena.
  4. Bismillah padh kar peena. (Read – Pani peene ki dua)
  5. Teen saans me peena, aur saans lete waqt bartan ko mu se alag karna.
  6. Peene ke baad Alhamdulillah kahna.
  7. Bartan ke toote hue kinare se na peena.
  8. Pani ki bottle ko mu se lagakar na peena.
  9. Doodh (ya isi tarah har chikni cheez) peene ke baad kulli karna.
  10. Kisi ko pani dete waqt daein hath se pesh karna.
  11. Pilane wale ka sabse akhir me peena (Jo pani pilae wo sabse akhri me piye).

Also Read:

Khana khane ki sunnatein

Pani peene se pehle aur baad ki dua

Doodh peene ki dua

Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons ke zariye aur sadqae jariya hasil karein.

4.2/5 - (5 votes)
Sadqae Jariya:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *