Laylatul Qadr ki dua

Shabe qadr kab hoti hai ?

Ramzan ka toh Sara mahina hi bhut Mubarak hota hai. Allah pak is mahine mein be hisaab logo ki maghfirat farmata hai. Lekin is Ramzan ke mahine mein aakhri ke 10 roze aur bhi zyada rehmat se bhare hote hai. Aur usme se bhi inke taak raatein (odd nights). Jisme lailatul qadr talaash krne ka hokum hai.

Lailatul qadr ke baarein mein toh Allah paak ne puri ek surah nazil farmai hai Jo quran Shareef mein surah qadr naam se hai. Jisme is raat ko hazaar mahine se bhi behtar bataya gaya hai.

Isliye hume chaiyeh ki in taak raaton mein (odd nights) mein zayda se zyada Allah ki ibadat kare aur Allah ko raazi karne ki koshih kare.

Laylatul qadr ke liye huzoor ﷺ ek khaas Dua Irshad farmai hai Jo is raat ko padhni chaiyeh. Toh Hume chaiyeh ki zyada s zyada ibadat krke is Dua ko padhe aur Allah ki rehamt talab kare.

Shabe qadr ki Dua

shab e qadr ki dua, laylatul qadr dua

Hazart Tayyiba tahira Ayesha farmati hai Maine huzoor ﷺ se pucha ki agr mujhe Pata chal jaye ki lailatul qadr konsi raat hai toh mujhe kya padhna chaiyeh usmein

Toh huzoor ﷺ ne Irshad farmaya :

اللْهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُعَنِّي

Meaning : Aye Allah tu bhut maaf farmane wala hai, maafi ko pasand farmata hai lihaza mujhe maaf farmade.

(Yeh exact hadeeth ke alfaaz nahi hai lekin onclusion wahi hai)

Lailatul qadr ki Dua in Hindi

एक बार हजरत आईशा रज़ी अल्लाहू अनहा ने नबी करीम सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम से कहा –

या रसूलल अल्लाह अगर मुझे पता चल जाए की लैलतुल कद्र कब है तो मैं क्या दुआ मांगूं? इसपर हमारे नबी सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम ने फरमाया इस दुआ आ जिक्र करो.

अल्लाहुम्मा इन्नका अफुव्वुन तुहिब्बुल अफ़वा फ़अफु अन्नी।

ए अल्लाह ! बेशक तू माफ़ करने वाला है, माफ़ करने को पसंद करता है तो मुझे भी माफ़ फरमा दे

3.7/5 - (3 votes)
Sadqae Jariya:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *