Ghar se bahar nikalne ki dua in Hindi, Roman Urdu, English | घर से निकलने की दुआ

Hadees paak ka mafhoom hai ke Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya ke jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe “Bismillaahi tawakkaltu alallah, laa hawala wa laa quwwata illaa billaah” to use hidayat de di jaati hai, uski kifayat kar di jaati hai aur shaitan usse door ho jaate hain. Isliye jab bhi ghar se niklo to ye dua zaroor padhaa karo.

Ghar se nikalne ki dua

Ghar se bahar nikalne ki dua in Hindi Urdu Roman English, Ghar se nikalne ki dua image

Ghar se bahar nikalne ki dua in Hindi

Ghar ke bahar jane ki dua in hindi
बिस्मिल्लाहि तवक्कल्तु अलल्लाह, ला हव्ला व ला कुव्वता इल्ला बिल्लाह
अल्लाह के नाम के साथ (घर से निकल्ता हु) और अल्लाह हि पर मैने भरोसा किया । गुनाहो से बच्ने कि ताकत और नेकी करने कि कुव्वत सिर्फ अल्लाह हि कि तरफ से है

Ghar se bahar nikalne ki dua in Roman English

Ghar ke bahar jane ki dua in Roman Urdu
Bismillaahi tawakkaltu alallah, laa hawala wa laa quwwata illaa billaah.

Ghar se baahar nikalne ki dua tarjuma

Allah ke naam ke sath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya. Gunaho se bachne ki taqat aur neki karne ki quwwat sirf Allah hi ki taraf se hai.

Dua when leaving home

In the name of Allah, I trust in Allah; there is no might and no power but in Allah.

Ghar se nikalne ki dua hadees

Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya: jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe “Bismillaahi tawakkaltu alallah, laa hawala wa laa quwwata illaa billaah”, to use kahaa jata hai (farishte kahte hain) ke tujhe hidayat di gai, teri taraf se kifayat kar di gai, aur tu bachaa liya gaya, (ye sun kar) shaitan us se door ho jata hai, to us se dusra shaitan kahta hai: tere haath se aadmi kaise nikal gaya ke ise hidayat de di gai, iski janib se kifayat kar di gai aur woh bachaa liya gaya.Sunan Abi dawud : 5095

Ghar me dakhil hone ki dua

Agar aapko ghar me jate waqt ki dua seekhna hai to neeche di gai link par click karein

Ghar me jane ki dua

Jab bhi ghar me dakhil ho to daain (right) pair se dakhil ho, aur niklo to baain (left) pair se niklo.

Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons zariye aur sadqae jariya hasil karein.

5/5 - (1 vote)
Sadqae Jariya:

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *