Azan ka maqsad logo ko namaz ke liye bulana hai. Jab bhi azan ho to use gaur se sunna chahiye aur azan ko dohrana chahiye. Azan khatam hone ke baad neeche di gai dua ko padhaa karein jiske padhne se hadees me ata hai ke Qayamat ke din shafa’at hogi.
Azan ke baad ki dua
Azan ke baad ki dua in Hindi
Azan ki dua in hindi
अल्लाहुम्मा रब्बा हाज़िहिद दावतित ताम मह वस सलातिल क़ाइमह आति मुहम्मदानिल वसीलता वल फ़जीलता वब-असहु मक़ामाम महमूदन अल्लज़ी व-अत्तह
Azan ke baad ki dua in Roman English
Azan ki dua in Roman English
Allahumma rabba hazi-hid d’awatit taammah wassalatil qaaimah aati Muhammadanil wasilata wal fazilata wab-’asa-hu maqamam mahmoodanillazi wa-attah.
Azan ki dua ka tarjuma
Ae Allah jo is saari pukaar ka Rab hai aur qayam rahne wali namaz ka Rab hai, Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ko wasila aur fazilat ata farma, aur Maqam-e-Mahmood par unka qayam farma jiska Tu ne unse wada kiya hai.
Azan ki dua in English (Translation)
O Allah! Lord of this perfect call and established prayer, grant Muhammad Al-Wasilah and Al-Fadilah, and raise him to the praised station that you promised him.
Azan ki dua in Hadees
Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya: Jisne azan sun kar “Allahumma rabba hazi-hid d’awatit taammah wassalatil qaaimah aati Muhammadanil wasilata wal fazilata wab-’asa-hu maqamam mahmoodanillazi wa-attah” kahaa to uske liye qayamat ke roz shafa’at halal hojaegi.Tirmizi: 211
Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons ke zariye aur sadqae jariya hasil karein.