Sone ki Dua aur Adaab | सोने की दुआ

Hamare nabi Muhammad ﷺ ne hamein har cheez ka tareeka sikhaya, jisme se sone ki sunnatein aur sone ki dua bhi sikhaai. To aaj hum is post me sone ke adaab, sone se pehle ki dua, aur bhi mukhtalif duaein aur quran ki ayatein jo sunnat se sabit hai wo aapko sikhaenge.

Allah hi roohon (aatma) ko un ki maut ke waqt aur jinki maut nahi aai unhein un ki neend ke waqt qabz kar leta hai, fir jin par maut ka hukm lag chuka hai unhein to rok leta hai aur doosri [roohon] ko ek muqarrar waqt tak ke liye chhod deta hai. Gaur karne walo ke liye isme yaqeenan bahot si nishaniyan hain.Surah Az-Zumar : 42

Quran me aata hai ke jab insan sota hai to Allah ta’ala hamari rooh ko qabz kar leta hai aur subah uthne par rooh ko wapas se lauta deta hai. Magar jinke taqdeer me maut likhi hoti hai to unki rooh ko Allah ta’ala wapas lautane ke bajae apne paas hi rok leta hai aur unpar maut waaqe ho jati hai. Isliye kuch log raat ko sote hue hi inteqal kar jaate hain. Aur hamare nabi Muhammad  ﷺ ne bhi neend ko maut ki bahen kaha hai.

Isliye hamein sone se pehle duaon ka ahtemam karna chahiye, kya pata kal ki subah hamein naseeb ho ya naa ho. Usse achchi kya baat hogi ke hamne sote waqt Allah ko yaad karke soya aur fir duniya se rukhsat ho gae.

To chaliye ab ham aapko sone ke kuch adaab aur sone ki dua batate hain. Sab se pehle ham sone ki jo khusoos dua hai wo seekhenge aur shayad usi dua ki talash me aap yahan par aae honge.

Sone ki dua

Sone ki Dua

Sone ki Dua in Arabic text
اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا
O Allah (Almighty) I live and die in your name.

Sone ki Dua in Hindi

Sone se pehle ki dua in hindi
अल्लाहुम्मा बिस्मिका अमूतु व अह्या
ऐ अल्लाह! मै तेरा नाम लेकर मरता हूँ और जीता हूँ

Sone ki dua in English

Sone se pehle ki dua in Roman English
Allahumma bismika amootu wa ahya

Sone ki dua ka tarjuma

Ae Allah! Mai tera naam lekar marta hoon aur jeeta hoon

Jo upar di gai dua hai wo sone ki khusoos dua hai. Is dua ke ilawah bhi kai dua aur quran ki ayatein jo hadees se sabit hai unka bhi ahtemam karna chahiye sone se pehle. To chaliye ab jaante hai wo mukhatlif duaein jo sone se pehle hamare nabi padhaa karte the, aur hamein bhi padhna chahiye.

Sote waqt ki Duaein

1. Surah Ikhlas, Surah Falak, Surah Naas
Hazrat Aisha RA se riwayat hai ke Nabi kareem ﷺ har raat jab bistar par aaram farmate to apni dono hatheliyon ko milakar Qul huallahu ahad, Qul auzu birabbil falaq aur Qul auzu birabbinnas (teeno suratein mukammal) padh kar un par phookte aur fir dono hatheliyon ko jahan tak mumkin hota apne jism par pherte the. Pehle sar aur chahre par haath pherte aur fir samne ke badan par. Ye amal teen dafa karte the.Sahih Bukhari : 5017

Surah Ikhlas (Qul huallahu ahad) ke baare me aata hai ke ise ek baar padhne se ek tihayi (one third –  1/3) Quran padhne ka sawab milta hai, aur agar teen dafa padhe to ek mukammal Quran padhne ka sawab milta hai. Surah Falak aur Surah Naas padhne se ham jadu tona (Black magic) se mahfooz rahte hain. Hamare Nabi par bhi jadu hua tha, fir Allah ne ye dono suratein nazil ki jiske padhne se hamare Nabi ko shifa ataa hui.

2. Ayatul Kursi

Sahih Bukhari 2311 me ek waqia nakal kiya gaya hai jisme hamein ye malum hota hai ke jo bhi sone se pehle ayatul kursi padhta hai to uske liye Allah ki taraf se ek muhafiz (guard) mutayyin kar diya jata hai, jo uske saath rahta hai, aur subah tak shaitan uske kareeb nahi aa sakta.

Ayatul Kursi Surah Baqarah ki ayat number 255 hai. Ayatul Kursi ki bahot fazeelat hai, ise zaroor padha karein.

3. Surah Baqarah ki akhri 2 ayatein (285-286)
Abu Masud Al-Badri se riwayat hai ke Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya: Jo shakhs raat ko surah baqarah ki akhri 2 ayatein padh le to wo uske liye kafi ho jati hai.Sahih Bukhari : 4008
4. Subhanallah (33 martaba), Alhamdulillah (33 martaba), Allahuakbar (34 martaba)

Sahih Bukhari 3705 me ek waqia nakal kiya gaya hai jisme Subhanallah (33 baar), Alhamdulillah (33 baar), Allahuakbar (34 baar) padhne ki ye fazeelat batayi gai hai ke agar koi bistar par aate waqt inhen padh le to uske liye ye ek khadim (naukar) se kayi zyadah behtar hai.

Ye kalimat Allah ko bahot pasand hai, iske padhne par bahot saari nekiyan milti hai.

5. Surah Mulk
Abu Huraira RA se riwayat hai ke Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya: Quran kareem ki ek surat 30 ayaton wali, apne padhne wale ke liye sifarish karegi, yahan tak ke use bakhsh diya jaega. Wo surah hai Tabarakallazi Biyadihil Mulk.Tirmizi : 2891

In sab ke ilawah bhi aur kuch cheezein hai padhne ke liye sone se pehle jaise ki Astaghfar, Darood shareef, Kalimaat, wagaira. Aap se jitna ho sake, aap ko jitna yaad hai wo padh liya karein. Aur akhir me sone ki jo khusoos dua hai (Allahumma bismika amutu wa ahya) padh kar soya karein.

Sone se pehle in sab duaon ka mamul banalein. Mushkil se 15 se 20 minute lagenge aapko ye sab padhne me, jisse aapko beshumar faeda hasil hoga.

Jaisa ke maine pehle aap ko bataya ki kya bharosa hamein sone ke baad kal ki subah dekhne naa mile aur ham inteqal kar jaae sote waqt, isliye hamein puri tayyari karke aur Allah ko yaad karte hue sona chahiye.

Din me ham duniya dari me mashgool hote hain, jaane anjane me bahot sare gunah bhi hote hain, sagirah (chhote) gunah to dua se, zikr se, namaz se maaf hojate hain, magar kabirah (bade) gunahon ke liye taubah karna lazim hai. Isliye taubah aur istighfar bhi kasrat se karte rahaa karein.

Chaliye ab hum aapko kuch sone ke aadab batate hain.

Sone ke Adaab

  1. Sone se pehle Wuzu karle.
  2. Bistar ko 3 baar jhaad kar bichhaein.
  3. Kapde badal kar soye (night dress).
  4. Aakhon me surma laga lein sone se pehle agar munasib ho to, isse aakhon ki roshni tez hoti hai.
  5. Dua aur Quran ki suratein padh liya karein, jo bhi ham ne aapko upar batai hai. Padhne ke baad haath par phook maar kar poore badan par ferlein.
  6. Gunahon se taubah karke soye.
  7. Dahine karwat soye (right side). Apne dahine hath ko dahine gaal ke neeche rakkhein. Ulta ya pet ke bal naa soye.
  8. Neend ane tak Allah ka zikr karein (laa ilaha illallah padhte rahein).

So kar uthne ki dua

Agar aap ko subah sokar uthne ki dua padhna hai to neeche di gai link par click karein

so kar uthne ki dua

Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons zariye aur sadqae jariya hasil karein.

4.6/5 - (8 votes)
Sadqae Jariya:

4 Comments

Leave a Reply to RehanCancel Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *