Tamam nematein Allah hi taraf se hai aur usi ke liye tamam tarifein hai. Jab bhi naya kapda pehno to neeche di gai dua padho. Ye dua sirf naya kapda pahente waqt hi nahi, balke rozana ki zindagi me aam kapde pahente waqt bhi padhi jaa sakti hai.
Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya: Jo koi kapda pehne, fir ye dua kare “Alhamdu lillahillazi kasani hazassauba warazaqaneehi min gairi haulim minni wala quwwah” to uske agle aur pichle (sab) gunah bakhsh diye jate hain.Abu Dawood : 4023
Naya kapda pahenne ki dua
Naya kapda pahenne ki dua in Hindi
नया कपड़ा पहनने ने की दुआ
अल्हम्दु लिलाहिल्लज़ी कसानी हाज़स्सउबा व रज़क़नीही मिन गैरी हव्लिम मिन्नी वला कुव्वह
Naya kapda pahenni ki dua in Roman English
Naya libaas pahenni ki dua in Roman Urdu
Alhamdu lillahillazi kasani hazassauba warazaqaneehi min gairi haulim minni wala quwwah
Naya libas pahenni ki dua tarjuma
Tamam tarifein Allah hi ke liye hai jisne mujhe ye kapda pehnaya aur mujhe meri taqat aur quwwat ke bagair ye ataa kiya.
Dua for wearing new cloths (translation)
Praise be to Allah Who has clothed me with this and provided me with it through no might and power on my part.
Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons ke zariye aur sadqae jariya hasil karein.