Khana Allah ta’ala ki taraf se bahot badi nemat hai. Hamein khana khate waqt Allah ka naam lekar khana chahiye aur Uska shukr adaa karna chahiye.
Hamare nabi Muhammad ﷺ ne hamein jo khane ke adaab sikhaein hai usi tarah hamein khana chahiye jisse hamare khane me barkat hogi aur khana khane ki sunnat par amal karne ke sawab bhi milega.
Khana khane ki sunnatein / Khane ke adaab
- Dastarkhwan bichhana.
- Dono hath gatto tak dhona, aur naa pochhna.
- Bismillah padhna. (Read – khane se pehle ki dua)
- Halal giza khana.
- Khane me ibadat aur ta’at (obedience) ki niyaat karna.
- Ek zanu ya do zanu baithna.
- Daaein hath (right hand) se khana.
- Khana agar ek kism ka ho to apne samne se khana.
- Teen ungliyon se khana.
- Joote chappal utar kar khana.
- Agar luqma hath se gir jae to uthaa kar (saaf karke) khaa lena.
- Tek lagakar na khana.
- Khane ko na sunghna, aur na aib nikalna.
- Bilkul pet bhar na khana.
- Bahot zyada garam na khana.
- Khane peene ki cheez me phook na marna.
- Khate waqt achchi batein karna, gam, fikar, aur marz (bimari) ki batein na karna.
- Khane ke baad bartan saaf karna, aur ungliyan chaat lena (pehle beech ki ungli, fir shahadat ki ungli, fir angutha saaf karna).
- Khane ke baad ki dua padhna. (Read – khane ke baad ki dua)
- Pehle dastarkhwan uthana fir khud uthna.
- Khane ke baad hath dhona aur kulli karna.
Ummeed karte hain ke aap ko ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai ho to neeche comment karke zaroor bataein aur is post ko zyada se zyada share karein neeche diye gae social icons ke zariye aur sadqae jariya hasil karein.